Khaje abdollah ansari biography of abraham
[MEMRES-5]!
Shaikh-ul-Islaam, Zain-ul-Ulama, Peer-e-Herat.
****************
Aap ki wilaadat 2 Sha’abaan 396 Hijri (4 May 1006 A.D.) ko Kohandez, Herat (Afghanistan) me hui.
Aap ke waalid ka naam Abu Mansoor Balkhi bin Ja’afar al-Ansaari hai.
Aap Sahaabi e Rasool Hazrat Abu Ayyoob Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Hazrat Abu Mansoor al-Taabi’i bin Abu Ayyoob Ansaari rahmatullāhi alaihi Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zaamane me jihad ke dauraan Herat tashreef laaye the aur wahi sukoonat pazeer hue the.
Aap ke waalid dukaandaar the aur kuchh saal Balkh me muqeem rahe the.
****************
4 saal ki umr me Aap ke waalid ne Aap ki ta’aleem shuru ki.
9 saal ki umr me Aap ne Hazrat Abu Mansoor Azdi aur Abu Fazl Jarudi ki mehfil me haazir hokar Hadeeṡ ki ta’aleem haasil karna shuru kiya.
410 Hijri (1019 A.D.) me Aap ke waalid ke inteqaal ke baad Hazrat Yahyā bin Ammaar Sayban aur Hazrat Shaikh Ammu ne Aap ki [arwarish w